Best Urdu Hindi Punjabi Shayari

Blogger Tips and TricksLatest Tips And TricksBlogger Tricks
Blogger Tricks

Tuesday, November 17, 2015

on Leave a Comment

Bazeecha-e-itfal hai duniya meray aage



Bazeecha-e-itfal hai duniya meray aage
Hota hai shab-o-roz tamasha meray aage

Ek khel hai aurang-e-Suleman meray nazdeek
Ek baat hai aijaz-e-Masiha meray aage

Juz naam nahin surat-e-aalam mujhe manzoor
Juz waham nahin hasti-e-ashia meray aage

Hota hai nihan gard mein sahra meray hote
Ghista hai jabeen khaak pe dariya meray aage

Mat pooch ke kya haal hai mera teray peechey
Tu dekh ke kya rang gait era meray aage

Sach kahte ho khud bin-o-khud aara hoon, na kyun hoon
Baitha hai but-e-aaina seema meray aage

Phir dekhiye andaaz-e-gul afshaani-e-guftaar
Rakh de koi paimana-o-sahba meray aage

Nafrat ke gumaan guzre hai main rashk se guzra
Kyunkar kahoon lo naam na unka meray aage

Imaan mujhe roke hai jo kheenche hai mujhe kufr
Kaaba mere peechhe hai kalisa meray aage

Aashiq hoon pah mashooq farebi hai miraa kaam
Majnun ko bura kahti hai Laila meray aage

Khush hote hai par wasl mein yun mar nahin jaate
Aai shab-e-hijran ki tamanna meray aage

Hai mauj-zan ik qulzum-e-khoon kaash yahi ho
Aata hai abhi dekhiye kya kya meray aage

Go haath ko jumbish nahin aankhon mein toh dum hai
Rahne do abhi saaghar-o-meena meray aage

Hum-pesha-o-hum-mashrab-o-humraaz hai mera
Ghalib ko bura kyun kaho achha meray aage

0 Post Your Opinion :):

Post a Comment

Powered by Blogger.