Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Kay Dekhtey Hain
So Us kay Shehar Mein Kuch Din Thehar Kay Dekhtey Hain
Suna Hai Rabt Hai Usko Kharab Haloon Say
So Apnay Ap Ko Barbad Kar Kay Dekhtey Hain
Suna Hai Dard Ki Gahak Hai Chashm-E-Naz Us Ki
So Hum Bhi Uski Gali Sey Guzar Ke Dekhtey Hain
Suna Hai Us Ko Bhi Hai Shair-o-shairy Say Shagaf
So Hum Bhi Mojzay Apne Hunar Ke Dekhtey Hain
Suna Hai Bolay To Baaton Say Phool Jhartey Hain
Yeh Bat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhtey Hain
Suna Hai Raat Usay Chand Takta Rehta Hai
Sitare Bahm-E-Falak Se Utar Ke Dekhtey Hain
Suna Hai Din Ko Usay Titliyan Satati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnu Thehar Kay Dekhtey Hain
Suna Hai Us Kay Badan Ki Tarash Aisi Hai
Kay Phool Apni Qabahain Qatar Kay Dekhtey Hain
Suna Hai Us Kay Shbistan Say Mutassil Hai Bahisht
Makeen Udhar Kay Bhi Jalway Idhar Kay Dekhtey Hain
Suna Hai Rukay To Gardishain Us Ka Tawaf Karti Hain
Chalay To Us Ko Zamanay Tehar Kay Dekhtey Hain
Kisay Naseeb Kay Bay Perhan Usay Daikhay
Kabhi Kabhi Daro Dewaar Ghar Kay Dekhtey Hain
Kahanian Hi Sahi Sab Mubalgay Hi Sahi
Agar Woh Khuwab Hai Tabeer Kar Ke Dekhtey Hain
Ab Us Kay Shaher Main Tehrain Ke Kooj Kar Jain
Faraz Ao Sitare Safar Kay Dekhtey Hain
0 Post Your Opinion :):
Post a Comment