Chupke Chupke Raat Din Aansuu Bahanaa Yaad Hai
Hum Ko Ab Tak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai
Tujhse Milte Hi Wo Kuch Bebaak Ho Jana Mera
Aur Tera Daanton Mein Wo Ungali Dabana Yaad Hai
Chori Chori Hum Se Tum Aa Kar Mile The Jis Jagah
Mudatein Guzarin Par Ab Tak Wo Thikana Yaad Hai
Kheench Lena Wo Mera Parde Ka Konaa Daffatan
Aur Dupatte Se Tera Wo Monh Chupaana Yaad Hai
Do-pahar Ki Dhoop Mein Mere Bulaane Ke Liye
Wo Tera Kothe Pe Nange Paon Aanaa Yaad Hai
Bahazaraan Iztiraab-o-sad-hazaaraan Ishtiyaaq
Tujhse Wo Pahale Pahal Dil Ka Lagana Yaad Hai
Jaan Kar Sotaa Tujhe Wo Qasa-e-paabosii Mera
Aur Tera Thukaraa Ke Sar Wo Muskuraanaa Yaad Hai
Tujh Ko Jab Tanhaa Kabhi Panaa To Az_raahe-lihaaz
Hal-e-dil Baatoon Hii Baatoon Mein Jataanaa Yaad Hai
Jab Sivaa Mere Tumhara Koi Deewaanaa Na Thaa
Sach Kaho Kyaa Tum Ko Bhii Wo Kaarkhanaa Yaad Hai
Gair Kii Nazaroon Se Bachakar Sab Kii Marzii Ke Khilaaf
Wo Teraa Chorii Chhipe Raatoon Ko Aanaa Yaad Hai
Aa Gaya Gar Vasl Kii Shab Bhii Kahiin Zikr-e-firaaq
Wo Teraa Ro Ro Ke Bhi Mujhko Rulaanaa Yaad Hai
Dekhanaa Mujhako Jo Bargashtaa To Sau Sau Naaz Se
Jab Manaa Lenaa To Phir Khud Ruuth Jaanaa Yaad Hai
Berukhii Ke Saath Sunaanaa Dard-e-dil Kii Dastaan
Aur Kaliye Mein Tera Wo Kangan Ghumaanaa Yaad Hai
Waqt-e-rukhsat Alvidaa Kaa Lafz Kahane Ke Liye
Wo Tere Sukhe Laboon Kaa Thar-tharaanaa Yaad Hai
Baawajood-e-iddaa-e-ittaqaa 'hasrat' Mujhe
Aaj Tak Ahad-e-havas Kaa Ye Fasaanaa Yaad Hai
0 Post Your Opinion :):
Post a Comment