Hum Jo Tootey To Is Tarah Tootey
Jaise Hathon Se Gir Ke Pathar Par
Koi Shafaaf Ainaa Tootey
Jaise Palkon Se Toota Tha Ansoo
Jaise Seene Mein Ik Kamaan Tootey
Jaise Umeed Ki Nazuk Daali
Barg Mausam Mein Na Gahaan Tootey
Jaise Ankhon Mein Khawab Ki Doori
Waqt E Takmeel Se Ulajh Jaye
Jaise Pairon Tale Zameen Nikle
Jaise Sar Par Yeh Asmaan Tootey
Jaise Ik Shaakh Pe Bharosa Kia
Is Pe Jitne Thay Aashiyaan Tootey
Jaise Wehshat Se Hosh Aa Jaye
Jaise Ta Dair Mein Dheyaan Tootey
Ab Jo Raiza Howay To Sochte Hain
Kis Nay Dekha Tha Tootna Apna
Hum Jo Tootey To Raayegaan Tootey
0 Post Your Opinion :):
Post a Comment