Wo Dushman-e-jaan, Jaan Se Pyaara Bhi Kabhi Tha
Ab Kis Se Kahain, Koi Hamara Bhi Kabhi Tha
Utra Hai Rag-o-pai Mein To Dil Kat Sa Gaya Hai
Yeh Zehr-e-judaai Ke Gawaara Bhi Kabhi Tha
Har Dost Jahan Abr-e-gurezan Ki Tarah Hai
Ye Shehar Kabhi Shehar Hamara Bhi Kabhi Tha
Titli Ke Taaqub Mein Koi Phool Sa Bachcha
Aisaa Hi Koi Khwab Humara Bhi Kabhi Tha
Ab Agle Zamaane Ke Milen Log Toh Puche
Jo Haal Humara Hai Tumhaara Bhi Kabhi Tha?
Har Bazm Mein Hum Ne Usay Afsurda Hi Dekha
Kahte Hain ‘faraz’ Anjuman-aara Bhi Kabhi Tha
0 Post Your Opinion :):
Post a Comment