Best Urdu Hindi Punjabi Shayari

Blogger Tips and TricksLatest Tips And TricksBlogger Tricks
Blogger Tricks

Wednesday, November 25, 2015

on Leave a Comment

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain - Ahmed Faraz (Urdu Punjabi Hindi Shayari)

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain 
So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Bole To Baaton Se Phool Jharte Hain 
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain

Rukey To Gardishien Uska Tawaaf Karti Hain 
Chaley To Uss Ko Zamaane Theher Ke Dekhte Hain

Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey

Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain

Kahaniyan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi 
Agar Woh Khawab Hai, Tabeer Kar Ke Dekhte Hain

Judaiyaan To Muqaddar Hain Phir Bhi Jaan-e-Safar 
Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain

Tu Saamney Hai To Phir Kyun Yaqeen Nahi Aata
Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain

Yeh Kaun Log Hain Maujood Teri Mehfil Mein
Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain

Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui
So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain

Bohat Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar
Chalo Faraaz Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain

0 Post Your Opinion :):

Post a Comment

Powered by Blogger.