Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo
Bhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani
Magar Muj Ko Lauta Do Vo Bachchpan Ka Sawan
Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Barish Ka Paani
Mauhalle Ki Sabse Nishani Purani
Wo Budhiya Jise Bachche Kahte The Nani
Wo Nani Ki Baton Mein Pariyo Ka Dera
Wo Chehre Ke Jhooriyo Mai Sadiyo Ka Fera
Bhulayeh Nahi Bhul Sakta Hai Koi
Wo Chhoti C Rate Wo Lambi Kahani
Kadi Dhoop Mai Apne Ghar Se Nikalna
Wo Chidiyo Wo Bulbul Wo Thitliya Pakdna
Wo Gudiya Ki Shadi Pe Ladna Jhagdna
Wo Jhulon Se Girna, Wo Geer Ke Sambhal Na
Wo Pithal Ke Challo Ke Pyare Se Toffe
Wo Tuti Huyi Chudiyo Ki Nishani
Kabhi Rait Ke Ounche Tilon Pe Jana
Gharonde Banana, Banake Mitana
Wo Masoom Chahat Ki Tasvir Apni
Wo Khawaabon Khilono Ki Tabeer Jageer Apni
Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishto Ke Bandhan
Badi Khoobsurat Thi Wo Zindgani.
0 Post Your Opinion :):
Post a Comment